Farsh Aey Yar Khak Dost O Dushman Zairpa - Aatish Poetry

Farsh Aey Yar Khak Dost O Dushman Zairpa Picture
Farsh Aey Yar Khak Dost O Dushman Zairpa

Farsh Ay Yaar Khaak Dost O Dushman Zairpa
Hum Giraiba'n Phaaren Gay Aaya Jo Daaman Zairpa

Ungliyan Kaanon Mein Deta Hai Dum Raftaar Yaar
Her Qadam Per Aati Hai Awaaz Shayoon Zairpa

Sarkashi Zeba Hai Hum Diwangaan e Ishq Ko
Khum Hue Hai Sainkron Kaanton Ki Gardan Zairpa

Rahguzar Mein Dafan Karna Ay Azeezan Tum Mujhe
Shayad Aajaye Kisi Ke Mera Madfan Zairpa

Surkh Ro, Yaan Tak To Aatish Khaksaari Ne Kiya
Soorat Naqsh e Qadam Hai Apna Madfan ZairPa